Chalti Chakki Dekh Kar Diya Kabira Roye,
Do Paatan Ke Beech Mein Saabit Bacha Na Koye

– Kabir

Siwaae Khaak Ke Baqi Asar Nishaan Se Na The,
Zamin Se Dab Gaye Dabte Jo Asmaan Se Na The

– Atish

Har Aan Ki Zaad Bana Chaar Bayadash Naushed,
Za Jaam-e Daher Mae Kullum Man Alaeha Fana

– Unknown