ALFAAZ (अलफ़ाज़ )
Alfaaz Kya Bayaa Karu ‘Amir’ Lucknow Ki Shaan Mein,
Laho Me Basi Hai Tehzeeb Yahan Har Insaan Mein
– Amir Lucknawi
Zabaan-e Lucknow
Alfaaz Kya Bayaa Karu ‘Amir’ Lucknow Ki Shaan Mein,
Laho Me Basi Hai Tehzeeb Yahan Har Insaan Mein
– Amir Lucknawi
Yaha Mohsin Ke Aage Aaj Bhi Nazrein Nahi Uthti,
Kahi Par AapneDekhi Hai Ghairat Lucknow Jaisi
– Adil Rasheed Tilhari
Aasmaan Ki Kya Hai Taaqat Jo Churaae Lucknow,
Lucknow Mujh Par Fida HaiMai Fida-e Lucknow
– Sheikh Imam Baksh Nasikh Lucknowi
Some Urdu/ Persian/Arabic sources for the study of the words !
Mehka Hua Hai Hum Se Gulistaan-e Lucknow,
Hai Jaan Hamari Lucknow Hum Jaan-e Lucknow
– Ashfaq Hussain Shauq Lucknawi
Jaha Me Ghoom Kar Dekho Tumhe Mil He Nahi Sakti,
Nazakat Lucknow Jaisi Nafasat Jaisi
– Adil Rasheed Tilhari
Jis Pe Duniya Ko Fakhr Hai Aslam,
Woh Zabaan-e Khaas Lucknow Ki Hai
– Aslam Lucknawi
Aaj Bhi Kehta Hai Har Shaib-e Nazar Roshan Khayal,
Lucknow IIm-o Adab Aap Hi Apni Misaal
– Mohammad Yameen Naqvi Sitapuri
Nazakat Lucknow Jaakar Samajh Main Aa Gayi ‘Aadil’,
Waha Kuch Log Hain Ab Bhi Jo Cheeni Dho k Peete Hain
– Adil Rasheed Tilhari
Tehzeeb Koi Meri Nazar Mein Jachegi Kya,
Meri Nigaah-e Shauq Ne Dekha Hai Lucknow
– Ahsan Alvi Kakorvi