Dastan ( दास्तान )
Azeem Itni Hai Tareekh-e Lucknow ‘Aadil’,
Bayaan Kaise Ho Lafzo Mein Dastan Iski
– Adil Rasheed Tilhari
Zabaan-e Lucknow
Azeem Itni Hai Tareekh-e Lucknow ‘Aadil’,
Bayaan Kaise Ho Lafzo Mein Dastan Iski
– Adil Rasheed Tilhari
Misaal Uski Zamaane Mein Na Pehle Thi Na Ab ‘Aadil’,
Zabaan Ka Guftugu Ka Jo Saleeqa Lucknow Mein Hai
– Adil Rasheed Tilhari
Gul Se Rangeen-Tar Hai Kheer-e Lucknow,
Nashe Se Behtar Khumaar-e Lucknow
– Sheikh Imam Baksh Nasikh Lucknawi
Eik Lutf-e Khaas Dil Ko Teri Aarzoo Mein Hai,
Allah Jaane Kitni Kashish Lucknow Mein Hai
– Munawwar Rana
Aaj Bhi Hai Kal Bhi Hoga Lucknow Ka Tazkirah,
Khatm Kis Se Ho Saki Hai Daastaan-e Lucknow
– Chand Miya Tayyab Kanpuri
Jaha Urdu Sukhan Tehzeeb Riwayato Ki Na Koi Kami Hai,
Duniya Mein Sirf Beshak Woh Lucknow Ki Sarzamee Hai
– Amir Lucknawi
Poocha Kisi Ne Ishq Ka Mashoor Madrasa,
Majnu Pukaar Uthaa Dabistaan-e Lucknow
– Ashfaq Hussain Shauq Lucknawi
Jo Hum Ko Bhool Baethe Unhein Bata De Koi,
Hum Khwaab Dekhte Hain Har Baar Lucknow Ka
– Manoj Srivastava
Hooron Se Kam Nahin Hain Haseenan-e Lucknow,
Jannat Ka Har Maqaam Pe Hum Ko Gumaan Raha
– Ashraf Kasmandwi
Agar Tum Jaan Bhi Maango To Apni Jaan Bhi De Dein,
Jahan Mein Kaun Karta Hai Muhabbat Lucknow Jaisi
– Adil Rasheed Tilhari