NAGRI ( नगरी )
Jab Chhhor Chale Lucknow Nagri,
Kahein Haal Ke Hum Par Kya Gujri
– Nawab Wajid Ali Shah
Specially dedicated to Lucknowites, who are not living in the city !
Jab Chhhor Chale Lucknow Nagri,
Kahein Haal Ke Hum Par Kya Gujri
– Nawab Wajid Ali Shah
Specially dedicated to Lucknowites, who are not living in the city !
Ab Iske Baad Subh Hai Aur Subh-e Nau majaz,
Hum Par Hai Khatm Shaam-e Ghareeban-e Lucknow
– Asrar-ul Haq ‘Majaz’
Woh Pyar Woh Khuloos Woh Mehman Nawaziya,
Lautey Jo Lucknow Se To Aankein Baras Padee
– Adil Rasheed Tilhari
Yeh Sach Hai Zinda-Dili Ki Kitaab Hai Tu,
Adab Ka Husn-o Hunar Ka Haseen Shabab Hai Tu,
Sar-e Chaman Tera Jalwa Hai Woh Gulaab Hai Tu,
Lucknow Ab Bhi Dunia Mein Lajawaab Hai …
Da’wa Zabaan Ka Lucknow Walo Ke Saamne,
Izhaar Boo-e Mushq Ghazaalo Ke Saamne
– Ameer Minai Lucknawi
Lucknow Hai To Mahez Gumbad-o Minar Nahi,
Sirf Ek Shaher Nahi Kucha-o Bazaar Nahi,
Iske Aanchal Mein Mohabbat Ke Phool Khilte Hai,
Iski Galiyon Mein Farishto Ke Pate Milte Hai
– Yogesh …
Azeem Itni Hai Tareekh-e Lucknow ‘Aadil’,
Bayaan Kaise Ho Lafzo Mein Dastan Iski
– Adil Rasheed Tilhari
Misaal Uski Zamaane Mein Na Pehle Thi Na Ab ‘Aadil’,
Zabaan Ka Guftugu Ka Jo Saleeqa Lucknow Mein Hai
– Adil Rasheed Tilhari
Gul Se Rangeen-Tar Hai Kheer-e Lucknow,
Nashe Se Behtar Khumaar-e Lucknow
– Sheikh Imam Baksh Nasikh Lucknawi
Eik Lutf-e Khaas Dil Ko Teri Aarzoo Mein Hai,
Allah Jaane Kitni Kashish Lucknow Mein Hai
– Munawwar Rana