“Kare Shukr-e Nemat Jitni Woh Kam Hai,
Maze Loo’tti Hai Zabaan Kaise Kaise! ”

Lucknow Ke Dastarkhwaan Ko Jisne Sabse Zyada Maqbooliyat Di Hai Woh Hai ‘Kabab’ Aur Usme Sar-e Fehrist Hai ‘Tunday Ke Kabab’. Agar Aapka Taa’lluq Lucknow Se Hai Aur Aaj Bhi Aap Duniya Ke Kisi Bhi Kone Me Chale Jae Tab Bhi Log Aapse ‘Tunday’ Ke Baare Me Zarur Daryaaft Karenge !

Mohammad Usman’s great grandfather was the cook at the Nawab’s & mastered the dish called ‘Kabab’ that do not require chewing and virtually melts in mouth. His son Haji Murad Ali [ 1877 – 1967 ] ( grand father of Mohammad Usman ) was one-armed also known as ‘Tunda’ and so he became popular as ‘Tunday Kababi’. Chowk outlet was started in 1905 & Aminabad followed later to serve the food-lovers !

Yeh Lucknow Ki Pehchaan Hai ! Tunday Miya – Aminabad Ke Yaha Jake Aapko Har Deewar Pe Duniya Bhar Ki Mashoor Hastiyo Ki Tasveerein Usman Bhai Ke Saath Dastyaab Hongi Jo Yaha Aksar Aate Hai, Chahe Woh Dilip Kumar Ho Ya Anil Kapoor Ya Salman Khan Ya Phir Shahrukh Khan Aur Haal Me Hi Ranvir Kapoor Wagairah Wagairah ! Yaha Har Umr, Har Mazhab, Har Peshe Se Taa’lluq Rakhne Wala Shaks Aata Hai Aur Andar Jaane Ke Baad Har Taraf Se Bas Eik Hi Awaaz Aati Hai “Eik Plate Kebab-Paratha Dena” !

Founder LUCKNOW Society has the priviledge to meet Mohammad Usman & discuss about the secret of the taste & surprized to know that more than 100 spices are used in the preparation. LUCKNOW Society Salutes Mohammad Usman for serving not only Lucknow but the entire Globe with the ‘Taste of Lucknow’!